January 24th, 2010   

Kabhi Tum Bhi Thay Ham Se Aashna

kabhi tum bhi hum se thay aashna tumhein yaad ho ke na yaad ho
kabhi tum ko hum se bhi pyaar tha tumhein yaad ho ke na yaad ho

karo yaad khwab ka woh samaan mere saath baithe thay tum yahan
liya haath mera ho haath mein kaheen tootee kaanch ki chudiyan
to galay se mujh ko laga liya tumhein yaad ho ke na yaad ho
kabhi tum bhi hum se thay aashna tumhein yaad ho ke na yaad ho

woh milan ki raat jo kat gayee woh khushi jo aa ke palat gayee
kabhi tum ne pyaar se chhooliya kabhi laaj se main simat gayee
mujhe yaad hai woh zara zara tumhein yaad ho ke na yaad ho
kabhi tum bhi hum se thay aashna tumhein yaad ho ke na yaad ho

 

 Tags: , , ,

 

Posted in Favorite Music | No Comments »

 
 

Comments

Feel free to leave a comment...
and oh, if you want a pic to show with your comment, go get a gravatar!





 
 

   

 COPYRIGHT 2006-2010 ALL RIGHTS RESERVED THEME AMBER DESIGNED BY FARAZ AHMED