October 8th, 2009   

Raqeeb – Faiz Ahmed Faiz

Aa ke waabasta hain us husn ki ki yaadein tujh se
jis ne is dil ko paree-khana banaa rakkha tha
jis ki ulfat mein mein bhalaa rakkhee thi dunya hum ne
dehr ko dehr ka afsaana banaa rakkhaa tha

Raqeeb Faiz Ahmed Faiz

Raqeeb Faiz Ahmed Faiz

Aashnaa hain tere qadmon se woh raahein jin par
uski madhosh jawaani ne inaayat kee hai
kaarvaan guzre hain jin se ussee ra’naaee kay
jis ko un aankhon ne bay-sood ibaadat kee hai

tujh se khailee hain woh mahboob hava’in jin mein
us kay malboos ki afsurdah mehek baaqi hai
tujh pe bhi barsaa hai us baam se mehtaab ka noor
jin mein beeni huwi raanon ki kasak baaqi hai

Tu ne dekhi hai woh paishani, woh rukhsaar, woh honTh
zindagi jin kay tassawur mein luTaa dee hum ne
tujh pe uThtee hain woh kho’ee huwi saahir aankhein
tujh ko maaloom hai kyon umr guzaar dee hum ne

Hum pe mashtarka hain ihsaan gham-e-ulfat kay
itnay ihsaan ke ganwaaooN to ginwaa na sakooN
hum ne is ishq mein kya khoya hai, kya seekha hai
juz tere aur ko samjhaaoN to samjhaa na sakooN

aajazi seekhi, ghareeboN ki hamaayat seekhi
yaas o hirmaan kay, dukh o dard kay ma’ani seekhay
zer dastoN kat musaa’ib ko samajhna seekha
sard aahoN kay, rukh-e-zard kay ma’ani seekhay

Jab keheeN baiTh kay rotay hain woh bekas jin kay
ashk aankhoN mein balkatay huwe so jaatay hain
naatwaanon kay nwaaloN pe jhaTpatay hai ‘uqaab
baazu tolay huwe munDlaatay huwe aatay hain

Jab kabhi biktaa hai baazaar mein mazdoor ka gosht
shahraahon pe ghareeboN ka lahu behtaa hai
aag si seenay mein reh reh kay ubaltee hai na poocho
apnay dil par mujhe qaaboo hi nahin rehtaa hai

 

 

 Tags: , ,

 

Posted in Favorite Poetry | No Comments »

 
 

Comments

Feel free to leave a comment...
and oh, if you want a pic to show with your comment, go get a gravatar!





 
 

   
 

FEATURED VIDEO

 

INFORMATION

SEARCH

 

 

FRIENDS WALL

JOIN ME ON FACEBOOK

MENU

CATEGORIES

ARCHIVES

TAGS CLOUD

 
 
   

 COPYRIGHT 2006-2010 ALL RIGHTS RESERVED THEME AMBER DESIGNED BY FARAZ AHMED